koi sang-e-rah bhi chamak uTha to sitara-e-sahari kaha
meri raat bhi tere nam thi use kis ne tira-shabi kaha
mere roz o shab bhi ajib the na shumar tha na hisab tha
kabhi umr bhar ki KHabar na thi kabhi ek pal ko sadi kaha
mujhe jaanta bhi koi na tha mere be-niyaz tere siwa
na shikast-e-dil na shikast-e-jaan ki teri KHushi ko KHushi kaha
koi yaad aa bhi gai to kya koi zaKHm khil bhi uTha to kya
jo saba qarib se ho chali use minnaton ki ghaDi kaha
bhari dopahar mein jo pas thi wo tere KHayal ki chhanw thi
kabhi shaKH-e-gul se misal di kabhi us ko sarw-e-samani kaha
kahin sang-e-rah kahin sang-e-dar ki main pattharon ke nagar mein hun
ye nahin ki dil ko KHabar na thi ye bata ki munh se kabhi kaha
mere harf harf ke hath mein sabhi aainon ki hain kirchiyan
jo zaban se ho na saka 'ada' ba-hudud-e-be-suKHani kaha
Ghazal
Koi sang-e-rah bhi chamak uTha to sitara-e-sahari kaha
Ada Jafri