koi samjhega kya raaz-e-gulshan
jab tak uljhe na kanTon se daman
yak-ba-yak samne aa na jaana
ruk na jae kahin dil ki dhaDkan
gul to gul KHar tak chun liye hain
phir bhi KHali hai gulchin ka daman
kitni aaraish-e-ashiyana
TuT jae na shaKH-e-nasheman
azmat-e-ashiyana baDha di
barq ko dost samjhun ki dushman
un gulon se to kanTe hi achchhe
jin se hoti ho tauhin-e-gulshan

Ghazal
Koi samjhega kya raaz-e-gulshan
Fana Nizami Kanpuri