koi dhun ho main tere git hi gae jaun
dard sine mein uThe shor machae jaun
KHwab ban kar tu barasta rahe shabnam shabnam
aur bas main isi mausam mein nahae jaun
tere hi rang utarte chale jaen mujh mein
KHud ko likkhun teri taswir banae jaun
jis ko milna nahin phir us se mohabbat kaisi
sochta jaun magar dil mein basae jaun
ab tu us ki hui jis pe mujhe pyar aata hai
zindagi aa tujhe sine se lagae jaun
yahi chehre mere hone ki gawahi denge
har nae harf mein jaan apni samae jaun
jaan to chiz hai kya rishta-e-jaan se aage
koi aawaz diye jae main aae jaun
shayad is rah pe kuchh aur bhi rahi aaen
dhup mein chalta rahun sae bichhae jaun
ahl-e-dil honge to samjhenge suKHan ko mere
bazm mein aa hi gaya hun to sunae jaun
Ghazal
Koi dhun ho main tere git hi gae jaun
Obaidullah Aleem