koi bhi zor KHaridar par nahin chalta
ki karobar to aKHbar par nahin chalta
hum aap apna gareban chaak karte hain
hamara bas hi to sarkar par nahin chalta
kuchh aur chahiye taskin-e-jism-o-jaan ke liye
hamara kaam to didar par nahin chalta
main jaanta hun mujhe kis ka sath dena hai
main billi ban ke to diwar par nahin chalta
usul jitne hain lagu hamin pe hote hain
aur ek yar-e-tarah-dar par nahin chalta
unhen lihaz nahin hai jo meri marzi ka
to main bhi marzi-e-aghyar par nahin chalta
na jaane kab tumhein auqat apni dikhla de
ab itna zulm bhi nadar par nahin chalta
mere suKHan ka bahana hain qafiya o radif
main sher kahta hun kuchh tar par nahin chalta
rauf 'KHair' pahunchta wahin hai hir-phir kar
ki iKHtiyar dil-e-zar par nahin chalta
Ghazal
Koi bhi zor KHaridar par nahin chalta
Rauf Khair

