koi aawaz na aahaT na KHayal aise mein
raat mahki hai magar ji hai niDhaal aise mein
mere atraf to girti hui diwaren hain
saya-e-umr-e-rawan mujh ko sambhaal aise mein
jab bhi chaDhte hue dariya mein safina utra
yaad aaya tere lahje ka kamal aise mein
aankh khulti hai to sab KHwab bikhar jate hain
sochta hun ki bichha dun koi jal aise mein
muddaton baad agar samne aae hum tum
dhundle dhundle se milenge KHad-o-KHal aise mein
hijr ke phul mein hai dard ki basi KHushbu
mausam-e-wasl koi taza malal aise mein
Ghazal
Koi aawaz na aahaT na KHayal aise mein
Naseer Turabi