اردو हिंदी
Kohsaron mein nahin hai ki bayaban mein nahin | Shaahi Shayari
kohsaron mein nahin hai ki bayaban mein nahin

Ghazal

Kohsaron mein nahin hai ki bayaban mein nahin

Fazil Ansari

;

kohsaron mein nahin hai ki bayaban mein nahin
baghban husn faqat tere gulistan mein nahin

mauj-e-dariya ki rawani ki ghaTaon ka KHiram
kaun si baat teri zulf-e-pareshan mein nahin

tujh se ho tark-e-jafa mujh se wafaen chhuTen
wo tere bas mein nahin ye mere imkan mein nahin

KHair dhundlai si thi raushni-e-sham-e-KHizan
baghban wo bhi to is subh-e-bahaaran mein nahin

chhin le saqi-e-be-faiz ke hathon se subu
rind kya aisa koi mahfil-e-rindan mein nahin

uljhanon ka ho asar kyun na sukun-e-dil par
rabt kya ham-nafaso sahil-o-tufan mein nahin

KHanda-e-gul ho ki ho girya-e-shabnam 'fazil'
dastan gham ki nihan kaun se unwan mein nahin