kiya tajjub ki meri ruh-e-rawan tak pahunche
pahle koi mere naghmon ki zaban tak pahunche
jab har ek shorish-e-gham zabt-e-fughan tak pahunche
phir KHuda jaane ye hangama kahan tak pahunche
aankh tak dil se na aae na zaban tak pahunche
baat jis ki hai usi aafat-e-jaan tak pahunche
tu jahan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai
dekh rindan-e-KHush-anfas kahan tak pahunche
jo zamane ko bura kahte hain KHud hain wo bure
kash ye baat tere gosh-e-giran tak pahunche
baDh ke rindon ne qadam hazrat-e-waiz ke liye
girte paDte jo dar-e-pir-e-mughan tak pahunche
tu mere haal-e-pareshan pe bahut tanz na kar
apne gesu bhi zara dekh kahan tak pahunche
un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche
ishq ki choT dikhane mein kahin aati hai
kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayan tak pahunche
jalwe betab the jo parda-e-fitrat mein 'jigar'
KHud taDap kar meri chashm-e-nigaran tak pahunche
Ghazal
Kiya tajjub ki meri ruh-e-rawan tak pahunche
Jigar Moradabadi