kiya hai tu ne to jaan-e-jahan jahan tasKHir
hua hai husn ka shohra tera to aalam-gir
naha ke baal jo sarkae gore chehre se
to jaise chand nikal aaya kali badri chir
na KHub-ru tujhe kah sakte hain na mahr na mah
ajab gaDhi yad-e-qudrat ne kuchh teri taswir
jahan paDa tera saya uga wahan gulzar
qadam dhara hai tu jis ja bana hai mushk-o-abir
shikar kar liya sara jahan shikar-andaz
hua hai par nigah se teri nigah ka tir
hue na zabh na fitrak tak ye ja pahunche
idhar udhar hain taDapte ye nim-jaan naKHchir
hai 'azfari' wo siyah-baKHt sanp kaTa bhi
paDi hai zulf ki aa jis ke panw mein zanjir
Ghazal
Kiya hai tu ne to jaan-e-jahan jahan tasKHir
Mirza Azfari

