kitni hi barishen hon shikayat zara nahin
sailaniyon ko KHatra-e-sail-e-bala nahin
main ne bhi ek harf bahut zor se kaha
wo shor tha magar ki kisi ne suna nahin
lakhon hi bar bujh ke jala dard ka diya
so ek bar aur bujha phir jala nahin
waise to yar main bhi taghayyur-pasand hun
chhoTa sa ek KHwab mujhe bhulta nahin
us din hawa-e-subh ye kahti hui gai
'yusuf'-miyan ke sanwle beTe mein kya nahin
Ghazal
Kitni hi barishen hon shikayat zara nahin
Rais Farogh

