اردو हिंदी
Kitni hi barishen hon shikayat zara nahin | Shaahi Shayari
kitni hi barishen hon shikayat zara nahin

Ghazal

Kitni hi barishen hon shikayat zara nahin

Rais Farogh

;

kitni hi barishen hon shikayat zara nahin
sailaniyon ko KHatra-e-sail-e-bala nahin

main ne bhi ek harf bahut zor se kaha
wo shor tha magar ki kisi ne suna nahin

lakhon hi bar bujh ke jala dard ka diya
so ek bar aur bujha phir jala nahin

waise to yar main bhi taghayyur-pasand hun
chhoTa sa ek KHwab mujhe bhulta nahin

sote hain sab murad ka suraj liye hue
raaton ko ab ye shahr dua mangta nahin

us din hawa-e-subh ye kahti hui gai
yusuf-miyan ke sanwle beTe mein kya nahin