kitni aashaon ki lashen sukhen dil ke aangan mein
kitne suraj Dub gae hain chehron ke pile-pan mein
bachchon ke miThe honTon par pyas ki sukhi ret jami
dudh ki dhaaren gae ke than se gir gain nagon ke phan mein
registanon mein jalte hain paDe hue sau naqsh-e-qadam par
aaj KHiraman koi nahin hai ummidon ke gulshan mein
chakna-chur hua KHwabon ka dilkash dilchasp aaina
TeDhi tirchhi taswiren hain TuTe-phuTe darpan mein
pa-e-junun mein paDi hui hain hirs-o-hawa ki zanjiren
qaid hai ab tak hath sahar ka tariki ke kangan mein
aankhon ki kuchh nauras kaliyan nim-shagufta ghuncha-e-lab
kaise kaise phul bhare hain gulchinon ke daman mein
dast-e-ghaib ki tarah chhupa hai zulm ka hath sitam ka war
KHushk lahu ki barish dekhi hum ne kucha-e-barzan mein
Ghazal
Kitni aashaon ki lashen sukhen dil ke aangan mein
Ali Sardar Jafri