اردو हिंदी
Kitne pech-o-tab mein zanjir hona hai mujhe | Shaahi Shayari
kitne pech-o-tab mein zanjir hona hai mujhe

Ghazal

Kitne pech-o-tab mein zanjir hona hai mujhe

Yusuf Hasan

;

kitne pech-o-tab mein zanjir hona hai mujhe
gard mein gum KHwab ki tabir hona hai mujhe

jis ki tabinda taDap sadiyon mein bhi sinon mein bhi
ek aise lamhe ki tafsir hona hai mujhe

KHasta-dam hote hue diwar-o-dar se kya kahun
kaise KHisht-o-KHak se tamir hona hai mujhe

shahr ke mear se main jo bhi hun jaisa bhi hun
apni hasti se teri tauqir hona hai mujhe

ek zamane ke liye harf-e-ghalat Thahra hun main
ek zamane ka KHat-e-taqdir hona hai mujhe

'yusuf' apne dard ki surat-gari karte hue
KHud bhi lauh-e-KHak par taswir hona hai mujhe