اردو हिंदी
Kitne mausam sargardan the mujhse hath milane mein | Shaahi Shayari
kitne mausam sargardan the mujhse hath milane mein

Ghazal

Kitne mausam sargardan the mujhse hath milane mein

Azm Bahzad

;

kitne mausam sargardan the mujh se hath milane mein
main ne shayad der laga di KHud se bahar aane mein

ek nigah ka sannaTa hai ek aawaz ka banjar-pan
main kitna tanha baiTha hun qurbat ke virane mein

aaj us phul ki KHushbu mujh mein paiham shor machati hai
jis ne be-had ujlat barti khilne aur murjhane mein

ek malal ki gard sameTe main ne KHud ko par kiya
kaise kaise wasl guzare hijr ka zaKHm chhupane mein

jitne dukh the jitni umiden sab se barabar kaam liya
main ne apne aainda ki ek taswir banane mein

ek wazahat ke lamhe mein mujh par ye ahwal khula
kitni mushkil pesh aati hai apna haal batane mein

pahle dil ko aas dila kar be-parwa ho jata tha
ab to 'azm' bikhar jata hun main KHud ko bahlane mein