kitne hi peD KHauf-e-KHizan se ujaD gae 
kuchh barg-e-sabz waqt se pahle hi jhaD gae 
kuchh aandhiyan bhi apni muawin safar mein thin 
thak kar paDaw Dala to KHeme ukhaD gae 
ab ke meri shikast mein un ka bhi hath hai 
wo tir jo kaman ke panje mein gaD gae 
suljhi thin gutthiyan meri danist mein magar 
hasil ye hai ki zaKHmon ke Tanke ukhaD gae 
nirwan kya bas ab to aman ki talash hai 
tahzib phailne lagi jangal sukaD gae 
is band ghar mein kaise kahun kya tilism hai 
khole the jitne qufl wo honTon pe paD gae 
be-saltanat hui hain kai unchi gardanen 
bahar saron ke dast-e-tasallut se dhaD gae
        Ghazal
Kitne hi peD KHauf-e-KHizan se ujaD gae
Aanis Moin

