kitne dil TuTe hain duniya ka KHabar hone tak
kitne sar phuTe hain diwar mein dar hone tak
ek kanTa jo nikalta hai to sau chubhte hain
amn tha hausla-e-fikr-o-nazar hone tak
hum ne apne se bhi sau bar mohabbat ki hai
han magar dil mein kisi shoKH ka ghar hone tak
ab kahin raqs-e-junun hai to kahin naghma-e-KHun
kitni suni thi faza zer-o-zabar hone tak
aaj sunta hun wahi naqsh-e-qadam chumte hain
jo bahut KHush the mere shahr-badar hone tak
aankhon aankhon mein bhi kaT jae to hum raazi hain
ye andhere hai bas ek raat basar hone tak
jab jhulas dega zamana to na ummid na yas
shaKH ko KHauf hai be-barg-o-samar hone tak
is qayamat ka jo puchho to koi nam nahin
hum pe jo bit gai tum ko KHabar hone tak
ek kiran phuTegi ek shoKH hawa sankegi
isi ummid mein jage hain sahar hone tak
aur ek nara-e-mastana ki mahfil jage
aur ek jam zamane ko KHabar hone tak
un ke honTon pe wo masum tabassum ki shaguft
shola-e-narm bani lams-e-nazar hone tak
meri barbaadi bhi ek hashr hai lekin 'zaidi'
irtiqa raqs mein hai hashr-e-digar hone tak
Ghazal
Kitne dil TuTe hain duniya ka KHabar hone tak
Ali Jawwad Zaidi

