kitne aish se rahte honge kitne itraate honge
jaane kaise log wo honge jo us ko bhate honge
sham hue KHush-bash yahan ke mere pas aa jate hain
mere bujhne ka nazzara karne aa jate honge
wo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha
aane walon se kya matlab aate hain aate honge
us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hoga
yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jate honge
yaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka
wo jo simaTte honge un mein wo to mar jate honge
mera sans ukhaDte hi sab bain karenge roenge
yani mere baad bhi yani sans liye jate honge
Ghazal
Kitne aish se rahte honge kitne itraate honge
Jaun Eliya