kitna hasin tha tu kabhi kuchh KHayal kar
ab aur apne aap ko mat paemal kar
marne ke Dar se aur kahan tak jiyega tu
jine ke din tamam hue intiqal kar
ek yaad rah gai hai magar wo bhi kam nahin
ek dard rah gaya hai so rakhna sambhaal kar
dekha to sab ke sar pe gunahon ka bojh tha
KHush the tamam nekiyan dariya mein Dal kar
KHwaja ke dar se koi bhi KHali nahin gaya
aaya hai itne dur to 'alwi' sawal kar
Ghazal
Kitna hasin tha tu kabhi kuchh KHayal kar
Mohammad Alvi