kisi to kaam zamane ke sogwar aae
tujhe jo pa na sake zist ko sanwar aae
tha jis pe wada-e-firdaus-o-aqibat ka madar
wo raat hum sar-e-ku-e-butan guzar aae
tere KHayal pe shab-KHun to KHair kya karte
bahut hua to ek ochha sa hat mar aae
mata-e-dil hi bachi thi bas ek zamane se
so hum ise bhi teri anjuman mein haar aae
baDe KHulus se ahwal puchhne ke liye
guzar gai shab-e-furqat to mere yar aae
kisi ko haal batana zarur hi kya tha
us anjuman se hum apne qusur-war aae
nigah-e-naz mere dil ke ghaw par mat ja
KHuda kare ki tujhe apna karobar aae
ye aur baat ki saqi se qarz mil na saki
huzur-e-hazrat-e-yazdan to ba-waqar aae

Ghazal
Kisi to kaam zamane ke sogwar aae
Mustafa Zaidi