kisi surat bhi nind aati nahin main kaise so jaun
koi shai dil ko bahlati nahin main kaise so jaun
akela pa ke mujh ko yaad un ki aa to jati hai
magar phir lauT kar jati nahin main kaise so jaun
jo KHwabon mein mere aa kar tasalli mujh ko deti thi
wo surat ab nazar aati nahin main kaise so jaun
tumhin to ho shab-e-gham mein jo mera sath dete ho
sitaro tum ko nind aati nahin main kaise so jaun
jise apna samajhna tha wo aankh ab apni dushman hai
ki ye rone se baz aati nahin main kaise so jaun
teri taswir jo TuTe hue dil ka sahaara thi
nazar wo saf ab aati nahin main kaise so jaun
ghaTa jo dil se uThti hai mizha tak aa to jati hai
magar aankh us ko barsati nahin main kaise so jaun
sitare ye KHabar lae ki ab wo bhi pareshan hain
suna hai un ko nind aati nahin main kaise so jaun
Ghazal
Kisi surat bhi nind aati nahin main kaise so jaun
Anwar Mirzapuri