kisi qatil se na talwar se Dar lagta hai
aaj kya baat hai darbar se Dar lagta hai
KHud ko oDhe hue baiTha hun kisi goshe mein
har taraf shorish-e-bisyar se Dar lagta hai
sochta hun ki kahan Tek laga kar baiThun
mujh ko KHud apni hi diwar se Dar lagta hai
TuT jae na kisi aan tasalsul us ka
kyun mujhe sans ki takrar se Dar lagta hai
main ne qatil ka ada rol kiya hai 'hamdam'
kyun mujhe apne hi kirdar se Dar lagta hai
Ghazal
Kisi qatil se na talwar se Dar lagta hai
Hamdam Kashmiri

