kisi kisi ki taraf dekhta to main bhi hun
bahut bura nahin itna bura to main bhi hun
KHiram-e-umar tera kaam paemali hai
magar ye dekh tere zer-e-pa to main bhi hun
bahut udas ho diwar-o-dar ke jalne se
mujhe bhi Thik se dekho jala to main bhi hun
talash-e-gum-shudgan mein nikal chalun lekin
ye sochta hun ki khoya hua to main bhi hun
mere liye to ye jo kuchh hai wahm hai lekin
yaqin karo na karo wahima to main bhi hun
zamin pe shor jo itna hai sirf shor nahin
ki darmiyan mein kahin bolta to main bhi hun
ajab nahin jo mujhi par wo baat khul jae
barae nam sahi sochta to main bhi hun
main dusron ke jahannam se bhagta hun 'farogh'
farogh apne liye dusra to main bhi hun
Ghazal
Kisi kisi ki taraf dekhta to main bhi hun
Rais Farogh

