kisi ki kisi ko mohabbat nahin hai
abhi is ki duniya ko lazzat nahin hai
agar tum ko milne ki fursat nahin hai
mujhe bhi ziyaada zarurat nahin hai
bahut KHushnuma hai gulistan-e-alam
magar sair karne ki fursat nahin hai
bahut se gharon mein KHazane hain madfun
nahin hai to ganj-e-qanaat nahin hai
kahan tak na behosh-o-be-KHud karegi
mai-e-wasl hai koi sharbat nahin hai
KHayalat mein apne hun gharq waiz
mujhe kahne sunne ki fursat nahin hai
dikhate nahin sharm se ru-e-raushan
koi kaamyabi ki surat nahin hai
tazalzul mein kis waste hai zamana
shab-e-hijr hai ye qayamat nahin hai
kahan ai pari tu kahan hur-e-jannat
teri us ki aapas mein nisbat nahin hai
meri qumriyon ke siwa kaun insan
ye shamshad hai is ki qamat nahin hai
wo uTThe to lakhon hi fitne uThenge
wo qamat bhi kam-az-qayamat nahin hai
na kyun dil lage yan wo hai aur KHalwat
ye hura nahin hai ye jannat nahin hai
jafaen na kije na kije na kije
tahammul ki ab mujh ko taqat nahin hai
talatum mein masruf hai qatra qatra
koi shai yahan be-haqiqat nahin hai
jahan tak bane tum se be-dad kar lo
agar aane wali qayamat nahin hai
larazta hai kyun Dar se ai jism-e-laghar
ye dhaDka hai dil ka qayamat nahin hai
hasinon ki chahat hasinon ki ulfat
musibat bhi hai aur musibat nahin hai
tumhein aashiq aur mujh ko mashuq lakhon
yahan aadamiyyon ki qillat nahin hai
sambhal kar zara naz-o-aghmaz kije
hasinon ki duniya mein qillat nahin hai
zamane mein hone ko sab kuchh hai 'parwin'
hamein kya umid-e-shafaat nahin hai
Ghazal
Kisi ki kisi ko mohabbat nahin hai
Parveen Umm-e-Mushtaq

