kisi ke hijr mein jina muhaal ho gaya hai
kise bataen hamara jo haal ho gaya hai
kahin gira hai na raunda gaya hai dil phir bhi
shikasta ho gaya hai paemal ho gaya hai
sahar jo aai hai shab ke tamam hone par
to is mein kaun sa aisa kamal ho gaya hai
koi bhi chiz salamat nahin magar ye dil
shikastagi mein jo apni misal ho gaya hai
udhar charagh jale hain kisi dariche mein
idhar wazifa-e-dil bahaal ho gaya hai
haya ka rang jo aaya hai us ke chehre par
ye rang hasil-e-sham-e-visal ho gaya hai
masafat-e-shab-e-hijran mein chand bhi 'ajmal'
thakan se chur ghamon se niDhaal ho gaya hai
Ghazal
Kisi ke hijr mein jina muhaal ho gaya hai
Ajmal Siraj