اردو हिंदी
Kisi ke haq mein sahi faisla hua to hai | Shaahi Shayari
kisi ke haq mein sahi faisla hua to hai

Ghazal

Kisi ke haq mein sahi faisla hua to hai

Iftikhar Naseem

;

kisi ke haq mein sahi faisla hua to hai
mera nahin wo kisi shaKHs ka hua to hai

yahi bahut hai ki us ne mujhe bhi miss to kiya
ye lams mujh mein abhi tak racha hua to hai

use main khul ke kabhi yaad kar to sakta hun
mujhe KHushi hai wo mujh se juda hua to hai

sukut-e-shab hi sahi mera ham-safar lekin
mere siwa bhi koi jagta hua to hai

ghuTan ki baDhti chali ja rahi hai andar ki
tamam KHush hain ki mausam khula hua to hai

ye aur baat ki main zinda rah gaya hun 'nasim'
har ek sitam meri jaan par rawa hua to hai