kisi ke ek ishaare mein kis ko kya na mila
bashar ko zist mili maut ko bahana mila
mazaq-e-talKH-pasandi na puchh is dil ka
baghair marg jise zist ka maza na mila
dabi zaban se mera haal chaarasaz na kah
bas ab tu zahr hi de zahr mein dawa na mila
KHuda ki den nahin zarf-e-KHalq par mauquf
ye dil bhi kya hai jise dard ka KHazana mila
dua gada-e-asar hai gada pe takiya na kar
ki e'timad-e-asar kya mila mila na mila
zuhur-e-jalwa ko hai ek zindagi darkar
koi ajal ki tarah der-ashna na mila
talash-e-KHizr mein hun ru-shanas-e-KHizr nahin
mujhe ye dil se gila hai ki rahnuma na mila
nishan-e-mehr hai har zarra zarf-e-mehr nahin
KHuda kahan na mila aur kahin KHuda na mila
meri hayat hai mahrum-e-mudda-e-hayat
wo rahguzar hun jise koi naqsh-e-pa na mila
wo na-murad-e-ajal bazm-e-yas mein bhi nahin
yahan bhi 'fani'-e-awara ka pata na mila
Ghazal
Kisi ke ek ishaare mein kis ko kya na mila
Fani Badayuni