اردو हिंदी
Kisi ke dosh na markab se istifada kiya | Shaahi Shayari
kisi ke dosh na markab se istifada kiya

Ghazal

Kisi ke dosh na markab se istifada kiya

Mohsin Zaidi

;

kisi ke dosh na markab se istifada kiya
yahan talak ka safar hum ne pa-pyaada kiya

jahan pe dekhe qadam apne kuchh bhaTakte hue
wahin Thahar ke farozan charagh-e-baada kiya

libas badle nahin hum ne mausamon ki tarah
ki zeb-e-tan jo kiya ek hi labaada kiya

amir-e-shahr sabhi the sharik-e-mashq-e-sitam
kisi ne kam to kisi ne sitam ziyaada kiya

har ek bar qadam but-kade mein lauT aae
KHuda gawah hai masjid ka jab irada kiya

bichhaDne walon mein hum jis se aashna kam the
na jaane dil ne use yaad kyun ziyaada kiya

koi akela to main sadgi-pasand na tha
pasand us ne bhi rangon mein rang sada kiya

bahut hi tang thi 'mohsin' ye rahguzar-e-ghazal
hum ahle-e-fikr-o-nazar ne ise kushada kiya