kisi kali ne bhi dekha na aankh bhar ke mujhe
guzar gai jaras-e-gul udas kar ke mujhe
main so raha tha kisi yaad ke shabistan mein
jaga ke chhoD gae qafile sahar ke mujhe
main ro raha tha muqaddar ki saKHt rahon mein
uDa ke le gae jadu teri nazar ke mujhe
main tere dard ki tughyaniyon mein Dub gaya
pukarte rahe tare ubhar ubhar ke mujhe
tere firaq ki raaten kabhi na bhulengi
maze mile unhin raaton mein umr bhar ke mujhe
zara si der Thaharne de ai gham-e-duniya
bula raha hai koi baam se utar ke mujhe
phir aaj aai thi ek mauja-e-hawa-e-tarab
suna gai hai fasane idhar udhar ke mujhe
Ghazal
Kisi kali ne bhi dekha na aankh bhar ke mujhe
Nasir Kazmi