kisi ka nam lo be-nam afsane bahut se hain
na jaane kis ko tum kahte ho diwane bahut se hain
jafaon ke gale tum se KHuda jaane bahut se hain
magar mahshar ka din hai apne begane bahut se hain
banae de rahi hain ajnabi nadariyan mujh ko
teri mahfil mein warna jaane-pahchane bahut se hain
dhari rah jaegi pabandi-e-zindan jo ab chheDa
ye darbanon ko samjha do ki diwane bahut se hain
bas ab so jao nind aankhon mein hai kal phir sunaenge
zara si rah gai hai raat afsane bahut se hain
tumhein kis ne bulaya mai-kashon se ye na kah saqi
tabiat mil gai hai warna maiKHane bahut se hain
baDi qurbaniyon ke baad rahna bagh mein hoga
abhi to aashiyan bijli se jalwane bahut se hain
likhi hai KHak uDani hi agar apne muqaddar mein
tere kuche pe kya mauquf virane bahut se hain
na ro ai shama maujuda patangon ki musibat par
abhi mahfil se bahar tere parwane bahut se hain
mere kahne se hogi tark-e-rasm-o-rah ghairon se
baja hai aap ne kahne mere mane bahut se hain
'qamar' allah sath iman ke manzil pe pahuncha de
haram ki rah mein sunte hain but-KHane bahut se hain
Ghazal
Kisi ka nam lo be-nam afsane bahut se hain
Qamar Jalalvi

