kisi ka dard ho dil be-qarar apna hai
hawa kahin ki ho sina figar apna hai
ho koi fasl magar zaKHm khul hi jate hain
sada-bahaar dil-e-dagh-dar apna hai
bala se hum na piyen mai-kada to garm hua
ba-qadr-e-tishnagi ranj-e-KHumar apna hai
jo shad phirte the kal aaj chhup ke rote hain
hazar shukr gham-e-paedar apna hai
isi liye yahan kuchh log hum se jalte hain
ki ji jalane mein kyun iKHtiyar apna hai
na tang kar dil-e-mahzun ko ai gham-e-duniya
KHudai-bhar mein yahi gham-gusar apna hai
kahin mila to kisi din mana hi lenge use
wo zud-ranj sahi phir bhi yar apna hai
wo koi apne siwa ho to us ka shikwa karun
judai apni hai aur intizar apna hai
na DhunDh 'nasir'-e-ashufta-haal ko ghar mein
wo bu-e-gul ki tarah be-qarar apna hai
Ghazal
Kisi ka dard ho dil be-qarar apna hai
Nasir Kazmi