اردو हिंदी
Kisi gharib ki barson ki aarzu ho jaun | Shaahi Shayari
kisi gharib ki barson ki aarzu ho jaun

Ghazal

Kisi gharib ki barson ki aarzu ho jaun

Munawwar Rana

;

kisi gharib ki barson ki aarzu ho jaun
main is surang se niklun tu aab-ju ho jaun

baDa hasin taqaddus hai us ke chehre par
main us ki aankhon mein jhankun to ba-wazu ho jaun

mujhe pata to chale mujh mein aib hain kya kya
wo aaina hai to main us ke ru-ba-ru ho jaun

kisi tarah bhi ye viraniyan hon KHatm meri
sharab-KHane ke andar ki haw-hu jaun

meri hatheli pe honTon se aisi mohr laga
ki umr-bhar ke liye main bhi surKH-ru ho jaun

kami zara si bhi mujh mein na koi rah jae
agar main zaKHm ki surat hun to rafu ho jaun

nae mizaj ke shahron mein ji nahin lagta
purane waqton ka phir se main lucknow ho jaun