kise nadim kise ham-nawa kahen apna
biTha ke pas kise muddaa kahen apna
rah-e-hayat mein apne parayon se haT kar
koi mile to use majra kahen apna
ada-e-parda-nashini ki shan kahti hai
wo but hai to bhi use hum KHuda kahen apna
qadam qadam pe na kyun ahl-e-karwan bhaTken
wo rahzan hai jise rahnuma kahen apna
hamare pas Thaharta hai ajnabi ki tarah
rawish jab us ki ho aisi to kya kahen apna
wo ru-ba-ru hai to hoti hai KHud-shanasai
jamal-e-yar ko hum aaina kahen apna
tere suluk par ab ye sawal uThta hai
tujhe paraya kahe jaen ya kahen apna
'rishi' hua to hai apne bhi haal ka pursan
wo shaKHs hum jise dard-ashna kahen apna
Ghazal
Kise nadim kise ham-nawa kahen apna
Rishi Patialvi

