اردو हिंदी
Kis ne sang-e-KHamoshi phenka bhare-bazar par | Shaahi Shayari
kis ne sang-e-KHamoshi phenka bhare-bazar par

Ghazal

Kis ne sang-e-KHamoshi phenka bhare-bazar par

Mohsin Naqvi

;

kis ne sang-e-KHamoshi phenka bhare-bazar par
ek sukut-e-marg tari hai dar-o-diwar par

tu ne apni zulf ke sae mein afsane kahe
mujh ko zanjiren mili hain jurat-e-izhaar par

shaKH-e-uriyan par khila ek phul is andaz se
jis tarah taza lahu chamke nai talwar par

sang-dil ahbab ke daman mein ruswai ke phul
main ne dekha hai naya manzar faraaz-e-dar par

ab koi tohmat bhi wajh-e-karb-e-ruswai nahin
zindagi ek umr se chup hai tere israr par

main sar-e-maqtal hadis-e-zindagi kahta raha
ungliyan uThti rahin 'mohsin' mere kirdar par