اردو हिंदी
Kis ne kaha ki mujhko ye duniya nahin pasand | Shaahi Shayari
kis ne kaha ki mujhko ye duniya nahin pasand

Ghazal

Kis ne kaha ki mujhko ye duniya nahin pasand

Saleem Faraz

;

kis ne kaha ki mujh ko ye duniya nahin pasand
bas samne ka thoDa sa hissa nahin pasand

barson se is ke sath guzar kar rahe hain hum
har-chand zindagi ka rawayya nahin pasand

suraj tulua hote hi dar band ho gae
ye kaise log hain ki sawera nahin pasand

KHwahish to hai mujhe bhi ki manzil mile magar
yun dusron ki rah pe chalna nahin pasand

main jaanta hun jaan hi le legi tishnagi
lekin mujhe KHushamad-e-dariya nahin pasand

tarif kar rahe the sabhi zist ki 'salim'
main ne bhi kuchh qarib se dekha nahin pasand