kis liye phirte hain ye shams o qamar donon sath
kis ko ye DhunDte hain barhana-sar donon sath
kaisi ya-rab ye hawa subh-e-shab-e-wasl chali
bujh gaya dil mera aur sham-e-sahar donon sath
baad mere na raha ishq ki manzil ka nishan
miT gae rah-rau o rahguzar donon sath
ai junun dekh isi sahra mein akela hun main
rahte jis dasht mein hain KHauf-o-KHatar donon sath
mujh ko hairat hai shab-e-aish ki kotahi par
ya KHuda aae the kya sham-o-sahar donon sath
us ne pheri nigah-e-naz ye malum hua
khinch gaya sine se tir aur jigar donon sath
gham ko di dil ne jagah dil ko jagah pahlu ne
ek goshe mein karenge ye basar donon sath
is ko rokun main ilahi ki sambhaalun us ko
ki taDapne lage dil aur jigar donon sath
naz baDhta gaya baDhte gae jun jun gesu
balki lene lage ab zulf o kamar donon sath
tujh se matlab hai nahin duniya o uqba se gharaz
tu nahin jab to ujaD jaen ye ghar donon sath
baat sunna na kisi chahne wale ki kabhi
kan mein phunk rahe hain ye guhar donon sath
aandhiyan aah ki bhi ashk ka sailab bhi hai
dete hain dil ki KHarabi ki KHabar donon sath
kya kahun zohra o KHurshid ka aalam ai 'nazm'
nikle KHalwat se junhi waqt-e-sahar donon sath
Ghazal
Kis liye phirte hain ye shams o qamar donon sath
Nazm tabaa-tabaa.ii