kis ko mehrban kahiye kaun mehrban apna
waqt ki ye baaten hain waqt ab kahan apna
ab jahan mein baqi hai aah se nishan apna
uD gae dhuen apne rah gaya dhuan apna
ai KHuda gila sun le apni be-niyazi ka
aaj haal kahta hai ek be-zaban apna
so ke raat kaTi hai be-kasi ke pahlu mein
chandni ne dekha hai mere ghar saman apna
ghar to ab bhi duniya ke dhup hi mein bante hain
kyun uTha nahin leta saya aasman apna
hum safar ke qisse ko KHatm kar ke chalte hain
rasta badalti hai apni dastan apna
na-murad duniya mein rah ke KHub bhar pae
chal nikal chalen ai dil kuchh nahin yahan apna
jaante hue 'natiq' ham-watan ki haalat ko
DhunDte phiren ja kar kis liye makan apna
Ghazal
Kis ko mehrban kahiye kaun mehrban apna
Natiq Gulavthi