kis ki talash hai hamein kis ke asar mein hain
jab se chale hain ghar se musalsal safar mein hain
sare tamashe KHatm hue log ja chuke
ek hum hi rah gae jo fareb-e-sahar mein hain
aisi to koi KHas KHata bhi nahin hui
han ye samajh liya tha ki hum apne ghar mein hain
ab ke bahaar dekhiye kya naqsh chhoD jae
aasar baadalon ke na patte shajar mein hain
tujh se bichhaDna koi naya hadsa nahin
aise hazaron qisse hamari KHabar mein hain
'ashufta' sab guman dhara rah gaya yahan
kahte na the ki KHamiyan tere hunar mein hain
Ghazal
Kis ki talash hai hamein kis ke asar mein hain
Aashufta Changezi