kidhar abru ki us ke dhak nahin
kaun is tegh ka halak nahin
misl-e-aina aabru hai to dekh
warna ghar mein to apne KHak nahin
de hai ham-chashmi us se phir KHurshid
kya bhala us ke munh pe nak nahin
chahen tauba ki chhanw hum zahid
kya kahen dar-bast-e-tak nahin
KHabar-e-ghaib KHatra-e-dil hai
warna ta-arsh apni Dak nahin
jis musalle pe chhiDkiye na sharab
apne aain mein wo pak nahin
yun to taib hain mai se hum bhi pa shaiKH
gar pilawe koi to bak nahin
yan wo malbus KHas nain jun gul
jo qaba das jagah se chaak nahin
'qaem' us kuche mein phire hai magar
abhi kuchh baat Thik-Thak nahin
Ghazal
Kidhar abru ki uske dhak nahin
Qayem Chandpuri