KHwahish-e-jaan ko aazmana hai
gham pukare to muskurana hai
husn phir le raha hai angDai
pyar ko phir fareb khana hai
ek tere gesuon ki chhanw mein
har ujala sameT lana hai
un ko barish ka KHauf hai jin ko
apna ghar aag mein jalana hai
wo chamak hun ki raegan ho kar
dar-o-diwar ko sajaana hai
aate aate qarar aaega
rafta rafta tujhe bhulana hai
Ghazal
KHwahish-e-jaan ko aazmana hai
Jazib Quraishi

