KHwabon ki haqiqat bhi bata kyun nahin dete
wo ret ka ghar hai to gira kyun nahin dete
ab arz-o-sama mein to Thikana nahin mera
tum gard ke manind uDa kyun nahin dete
aalam mein liye phirte ho tum apni tajalli
hum jaise charaghon ko ziya kyun nahin dete
ijad kiya karte ho tum gham ke khilaune
tum dil bhi koi aur naya kyun nahin dete
tum DhunDte phirte ho masihai ka marham
zaKHmon ko saliqe se saja kyun nahin dete
rone ka sabab puchh na le mujh se zamana
aansu meri aankhon ke chhupa kyun nahin dete
ye shama' khaTakti hai agar KHar ki surat
nazron se ise apni gira kyun nahin dete

Ghazal
KHwabon ki haqiqat bhi bata kyun nahin dete
Syeda Nafis Bano shama