KHwab se aankh wo mal kar jage
kitne soe hue manzar jage
kis ki KHatir hai pareshan teri zulf
hum isi fikr mein shab bhar jage
tishnagi ne jo nichoDa daman
karwaTen le ke samundar jage
saikDon rang hain aankhon mein magar
zehn mein ek hi paikar jage
KHwab ka jashn manane ke liye
log sunte hain ki ghar ghar jage
hum ne kaghaz pe likha nam tera
harf o mani ke muqaddar jage
un ko bedar na kahiye 'shair'
log jo KHwab ke andar jage
Ghazal
KHwab se aankh wo mal kar jage
Shaayar Lakhnavi