KHwab ko din ki shikaston ka mudawa na samajh
nind par takiya na kar shab ko masiha na samajh
hijr ke shahr mein gulzar kahan milte hain
subh ko dasht samajh sham ko virana samajh
main kahin aur ka TuTa hua tara hun koi
tu mujhe apne sitaron se ulajhta na samajh
mujh pe khul ja ki mere dil mein koi pech paDe
apni tanhai ke asrar-e-zuleKHana samajh
rasta de ki mohabbat mein badan shamil hai
main faqat ruh nahin hun mujhe halka na samajh
Ghazal
KHwab ko din ki shikaston ka mudawa na samajh
Saqi Faruqi