اردو हिंदी
KHwab aankhon se chune nind ko viran kiya | Shaahi Shayari
KHwab aankhon se chune nind ko viran kiya

Ghazal

KHwab aankhon se chune nind ko viran kiya

Sultan Akhtar

;

KHwab aankhon se chune nind ko viran kiya
is tarah us ne mujhe be-sar-o-saman kiya

KHak-e-viran tha faqat hu ki sada gunjti thi
meri wahshat ne bayaban ko bayaban kiya

main ne ek shaKHs ki shaista-mizaji ke liye
apni har KHwahish-e-KHush-rang ko qurban kiya

us ne jab chaak kiya wajd mein pairahan-e-jaan
main ne bhi nazr-e-junun apna gireban kiya

umr bhar zabt ki diwar na toDi main ne
aah khinchi na kabhi ranj ka elan kiya

aks-e-hairat ke siwa kuchh na tha aaine mein
apni aankhon ko bahut main ne pareshan kiya

phir bhi tamir-e-tamanna ki na takmil hui
main ne aangan ko kabhi dar kabhi dalan kiya

banT di logon mein us ne meri daryuza-gari
phir mujhe 'aKHtar'-e-kam-maya se sultan kiya