اردو हिंदी
KHwab aankhon ko hamari jo dikhae aaina | Shaahi Shayari
KHwab aankhon ko hamari jo dikhae aaina

Ghazal

KHwab aankhon ko hamari jo dikhae aaina

Rajendra Kalkal

;

KHwab aankhon ko hamari jo dikhae aaina
KHun ke aansu wahi hum ko rulae aaina

aadmi ki fitraten jaise samajhta ho sabhi
aadmi ke sath aise muskurae aaina

banTana to chahta hai dukh buzurgon ke magar
jhurriyon ko kis tarah un ki chhupae aaina

aaine ke samne se koi to haTta nahin
aur kisi ko KHwab tak ye Darae aaina

gham nahin be-shak bikhar jae kisi din TuT kar
jhuT ke aage na sar hargiz jhukae aaina

bol kar sach kaun kitne din salamat rah saka
Dar ke sae mein hayat apni bitae aaina

waqt chehre par jab us ke likh gaya nakaamiyan
kaise wo diwar par 'kalkal' sajae aaina