KHu samajh mein nahin aati tere diwanon ki
damanon ki na KHabar hai na girebanon ki
jalwa-e-saghar-o-mina hai jo ham-rang-e-bahaar
raunaqen turfa taraqqi pe hain mai-KHanon ki
har taraf be-KHudi o be-KHabari ki hai numud
qabil-e-did hai duniya tere hairanon ki
sahl is se to yahi hai ki sambhaalen dil ko
minnaten kaun kare aap ke darbanon ki
aankh wale teri surat pe miTe jate hain
sham-e-mahfil ki taraf bhiD hai parwanon ki
ai jafakar tere ahd se pahle to na thi
kasrat is darja mohabbat ke pashimanon ki
raaz-e-gham se hamein aagah kiya KHub kiya
kuchh nihayat hi nahin aap ke ehsanon ki
dushman-e-ahl-e-murawwat hai wo begana-e-uns
shakl pariyon ki hai KHu bhi nahin insanon ki
hamrah-e-ghair mubarak unhen gul-gasht-e-chaman
sair hum ko bhi mayassar hai bayabanon ki
ek bakheDa hai nazar mein sar-o-saman-e-wajud
ab ye haalat hai tere soKHta-samanon ki
faiz-e-saqi ki ajab dhum hai mai-KHanon mein
har taraf mai ki talab mang hai paimanon ki
aashiqon hi ka jigar hai ki hain KHursand-e-jafa
kafiron ki hai ye himmat na musalmanon ki
yaad phir taza hui haal se tere 'hasrat'
qais o farhad ke guzre hue afsanon ki
Ghazal
KHu samajh mein nahin aati tere diwanon ki
Hasrat Mohani