KHush hun ya dost se KHafa hun main
aaj-kal kuchh naya naya hun main
tum pe sau jaan se fida hun main
tum jise chaho us ko chahun main
har ada par teri fida hun main
aaina ban ke dekhta hun main
un ko ye aarzu are tauba
main kahun aarzu bhara hun main
ai ata kosh kar atai nazar
ai KHata-posh be-KHata hun main
ibtida hi ghalat hai bismillah
apna anjam sochta hun main
ek nadan dost ki KHatir
dushmanon se mila hua hun main
kasmapursi hai KHak hone tak
KHak hote hi kimiya hun main
ishq-bazi hai zinda-dar-gori
maut se pahle mar chuka hun main
kisi surat bhi kaamyab nahin
kis nirase ka muddaa hun main
hijr mein mausam-e-hujum-e-gul
aur diwana ban gaya hun main
mujh ko kyun jaante ho mustaghni
nahin bando nahin KHuda hun main
ishq ne kar diya nikamma sa
ab tere kaam ka bana hun main
talab-e-haq hai aise ijz ke sath
jaisa KHairaat mangta hun main
abhi sab kuchh abhi nahin kuchh bhi
ai safi' kya bataun kya hun main

Ghazal
KHush hun ya dost se KHafa hun main
Safi Aurangabadi