khuli kitab ke safhe ulaTte rahte hain
hawa chale na chale din palaTte rahte hain
bas ek wahshat-e-manzil hai aur kuchh bhi nahin
ki chand siDhiyan chaDhte utarte rahte hain
mujhe to roz kasauTi pe dard kasta hai
ki jaan se jism ke baKHiye udhaDte rahte hain
kabhi ruka nahin koi maqam-e-sahra mein
ki Tile panw-tale se sarakte rahte hain
ye roTiyan hain ye sikke hain aur daere hain
ye ek duje ko din bhar pakaDte rahte hain
bhare hain raat ke reze kuchh aise aankhon mein
ujala ho to hum aankhen jhapakte rahte hain
Ghazal
Khuli kitab ke safhe ulaTte rahte hain
Gulzar