اردو हिंदी
Khul gaya KHalwat-e-tanhai ka qissa ai hai | Shaahi Shayari
khul gaya KHalwat-e-tanhai ka qissa ai hai

Ghazal

Khul gaya KHalwat-e-tanhai ka qissa ai hai

Afeef Siraj

;

khul gaya KHalwat-e-tanhai ka qissa ai hai
chal gaya shahr mein afwah ka sikka ai hai

qumri-o-tuti-o-bulbul hain jise dekh ke mast
us gul-andam ko tum ne nahin dekha ai hai

kya kahen kaisa laga chand hamein us ke baghair
Dub kar jab gham-e-hijran mein wo nikla ai hai

us ke fiqre se main kya samjhun koi samjha de
dafatan meri taraf dekh ke bola ai hai

al-gharaz qissa-e-do-lafz ye sun le ai dost
kucha-e-yar ba-sad ranj na chhuTa ai hai