KHudi ho ilm se mohkam to ghairat-e-jibril
agar ho ishq se mohkam to sur-e-israfil
azab-e-danish-e-hazir se ba-KHabar hun main
ki main is aag mein Dala gaya hun misl-e-KHalil
fareb-KHurda-e-manzil hai karwan warna
ziyaada rahat-e-manzil se hai nashat-e-rahil
nazar nahin to mere halqa-e-suKHan mein na baiTh
ki nukta-ha-e-KHudi hain misal-e-tegh-e-asil
mujhe wo dars-e-farng aaj yaad aate hain
kahan huzur ki lazzat kahan hijab-e-dalil
andheri shab hai juda apne qafile se hai tu
tere liye hai mera shola-e-nawa qindil
gharib o sada o rangin hai dastan-e-haram
nihayat is ki husain ibtida hai ismail
Ghazal
KHudi ho ilm se mohkam to ghairat-e-jibril
Allama Iqbal