KHuda muaf kare zindagi banate hain
mere gunah mujhe aadmi banate hain
hawas hai sare jahanon pe hukmarani ki
wo sirf chand nahin raat bhi banate hain
mere liye to muqaddas hain wo sahife bhi
jo raushni ke liye raushni banate hain
na is hujum mein rakkho mujhe KHuda ke liye
jo sher kahte nahin shaeri banate hain
tabah kar to dun zahir-parast duniya ko
ye aaine bhi mere log hi banate hain
main aasman banata hun meri baat karo
yahan to chand sitare sabhi banate hain
main shukriya ada karta hun sab raqibon ka
yahi andhere mujhe raushni banate hain

Ghazal
KHuda muaf kare zindagi banate hain
Nomaan Shauque