KHuda kisi kun kisi sath aashna na kare
wagarna yar kun aashiq sun bewafa na kare
bhali hawa-e-qayamat azab-e-hashr ki sulh
wale kisi ko KHuda kis ka mubtala na kare
sun iltimas na kar ab sun tun juda mujh ko
rula na hans ke tun kah kah aji KHuda na kare
kisi sanam kun ai zahid tun dil na de bojha
wo banda kiya jo muqarrar koi KHuda na kare
teri nigah-e-KHunuk ne jo dil sun garmi ki
kali upar ye nawazish kabhu saba na kare
laga churane wo qassab hum sun KHanjar-e-chashm
hamare haq mein koi KHair ki dua na kare
muhit-e-yas mein tum ne Dubai kashti-e-dil
KHuda kisi kun KHuda-fahm na-KHuda na kare
chaman mein dekh kaha mujh ko pi ne aankh dikha
mariz-e-ishq ki daru yahi dawa na kare
kisi kun haq na kare sham-e-hijr-e-yar ki shama
kise baghair ajal ranja-e-fana na kare
diya patang kun garm-ulfati sun sozan hai
wo juz-dua dil-e-ashiq bane dua na kare
jo tegh-e-abru-e-jaanan ka saya-parwar hai
wo 'uzlat' aarzu-e-shahpar-e-huma na kare
Ghazal
KHuda kisi kun kisi sath aashna na kare
Wali Uzlat